dil ke bujhe charagh jalati chali gai qadmon se soe fitne jagati chali gai shoala tha wo lapakta hua ya ki barq thi rag rag mein aag si wo lagati chali gai ya jism ko wo kham ki kaman kaam-dew ki kis kis ada se tir chalati chali gai phulon ki daliyon ki lachak bazuon mein thi bal nazuki ke bojh se khati chali gai nazm-e-hasin kahen ki use hum ghazal ka sher ahl-e-nazar ko wajd mein lati chali gai ek jumbish-e-nazar se lachakti kamar se wo kya kya fasane dil ke sunati chali gai rukh par birah ka rang hai ya ki milan ki aas duniya-e-soz-o-saz dikhati chali gai khwabon ki bastiyon mein udae liye phiri yaadon ka ek shahr basati chali gai is daur-e-mai-kashi mein kise hosh tha 'habib' kab aai aur kab wo pilati chali gai