shair-e-hindostan ai shair-e-jadu-bayan hind ke khum-khana-e-irfan ke ai pir-e-mughan tere naghmon mein nashat-e-zindagi ki hai mahak kaif se gul ka tabassum zikr-e-dil husn-e-butan tere naghmon mein dil-e-insan ka hai soz-o-gudaz jin se aksar hai ibarat zindagi ki dastan hai khayal-o-fikr ki duniya tere har lafz mein paikar-e-ashaar hai kitna hasin kitna jawan teri nazron ne tatola is tarah insan ka dil mere dil ka raaz mujh par hi kiya tu ne ayan zindagi insan ki hai teri nazar mein ek qafas jis mein hai hadd-e-nazar tak tiliyan hi tiliyan faiz se tere hi hai urdu ka ye husn-e-jamal tere bais hi bani wo raunaq-e-bazm-e-jahan tere naghmon ko kabhi bhi maut aa sakti nahin la-zawal un ki kashish un ki bahaaren jawedan tere ilm-o-fan ki shohrat ka main aalam kya kahun jhuk gaya qadmon pe tere ba-adab sara jahan