wahi dariya kinare roz apni bans ki bansi liye baitha hua wo shakhs kitni be-niyazi se har ek lamhe ko apni khush-dili se dad deta hai ki jis ke ru-e-raushan par qanaat morchhal jhalti hui moti lutati hai sahar-ta-sham lahron se wo apni baat kahta hai hawaon ki madhur sargoshiyon par khilkhilata hai parindon ke suhane chahchahon par jhum uthta hai kisi aawaz ki aahat pe kajri gungunata hai magar us ki nazar dori ki har jumbish pe rahti hai koi machhli phansi to is ke sine mein kai rangon ki subhen dafatan marpash hoti hain magar aisa bhi hota hai kisi din hath khali apne ghar wo laut jata hai kai masum aankhen jab sawali ban ke uthti hain wahi manus si ek muskurahat is ke chehre ki kisi nannhi si machhli ki tarah ek jast leti hai shikasta jhonpade mein ek bijli kaund jati hai