tum apne kamre mein gahri tanhaiyon mein gum the ghadi ki tik-tik jo sui ko tekte guzarti tumhein ye mahsus hone lagta ki jaise sar par kai hathaude baras rahe hain tumhaari kursi ki charcharahat tumhaari tanhaiyon pe lagta ki bain karti koi rudali idhar main apne jahan-e-rangin mein ji rahi thi ki mere atraf zindagi thi bahaar-e-taza bhi dilkashi thi hasin mulaem si raushni thi phir ek din ittifaq se mil gae the hum tum mohabbaton ke asir ho kar chale the hum tum magar safar mein na jaane kaise kahan pe aakhir ye mod aaya nasib ne phir ye din dikhaya haqiqaton ko zawal aaya tum aaj apne jahan-e-rangin mein ji rahe ho main apne kamre mein gahri tanhaiyon mein gum tha