ek ruKH

wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par
sare lashkar ek tarah ke hote hain

sare khanjar ek tarah ke hote hain
ghodon ki tapon mein rondi hui raushni

dariya se maqtal tak phaili hui raushni
sare manzar ek tarah ke hote hain

aise har manzar ke baad ek sannata chha jata hai
ye sannata tabl-o-alam ki dahshat ko kha jata hai

sannata fariyaad ki lai hai ehtijaj ka lahja hai
ye koi aaj ki baat nahin hai bahut purana qissa hai

har qisse mein sabr ke tewar ek tarah ke hote hain
wo furaat ke sahil par hon ya kisi aur kinare par

sare lashkar ek tarah ke hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close