aasman kyun dur hota ja raha hai titliyan aur fakhtaen apni maftuha faza par mutmain hain mujh mein kyun dam todti hai sham ki nili hawa mujh mein kyun soe parinde mujh se kyun unche darakhton ki zamin chhupne lagi aasman kyun dur hota ja raha hai raat ke is shamiyane mein koi mausam nahin hai aaj maidanon mein ek saya chalega dur tak aaj dariyaon mein koi dubta jaega phir unche pahadon par koi aawaz nili dhund banti jaegi tum apne darwazon pe likh do aaj ki shab chand ko garhan lagega nind ko aankhen nahin mil paengi