ek lamha bhi ek zamana hai yaad rakhna ki bhul jaana hai lab o rukhsar o gesu-e-khamdar wo lachakti hui bahen wo hum aaghosh badan wo chhalakte hue paimanon ki mahfil wo iram naghma o raqs fusun-kari-e-fan shahr aaraish-e-jannat hai zamin par ki nahin ye numaish-gah-e-tamir-o-taraqqi ye zamin zindagi mehnat o qudrat ke ajaib ye mashinen khud-kar dhat ke purze jo hain farz-shanas o hushiyar ai khuda ye tere sayyaron ke rakhwale ek lamha bhi ek zamana hai yaad rakhna ki bhul jaana hai aaj mausam bahut suhana hai ji kare hai ki jaan de dalen aaj mausam bahut suhana hai kat gae qatilon ke hat kahin pai mahkum ne najat kahin baadshahat zamin pe de mari chhin li hai inan-e-mukhtari har taraf inqalab ke aasar hain kahan parcham-e-shah-e-khun-khwar rashk-e-jamshed fakhr-e-askandar qaid mohallon mein ya ki mulk-badar dagmagata hai takht-e-shahana shahryaron ka khatm afsana an-ginat bijliyan girin lekin chaar tinkon ka aashiyana hai ai khuda-e-abad khuda-e-azal tere ghar mein pahunch gai halchal