abhi chid ke jangalon se guzarna bahut jaan-faza hai kai mil ke baad barfile tudon ka sahra milega jahan sard purwaiyon ke thapede thirakte milenge umudi dhalanon ka ek silsila bhi milega achanak jise par karne ki dhun mein tumhein apne sab sathiyon ko galana padega hasin daraupadi aur tumhaare jari bhaiyon ki jamaat inhin barf-zaron ka hissa banegi magar ye bhi hoga yudhishthir! tumhaara wafadar kutta tumhaare aqab mein ba-sad-shauq har waqt chalta rahega mukhalif faza mein tumhaari hi dhadkan ka hissa rahega use yakh jahannam nahin chhu sakega tumhaare jari bhaiyon ki wajahat tumhaari hasin daraupadi ki malahat tumhaare wafadar kutte ke aage pashiman rahegi