ghar mein baithe hue kya likhte ho bahar niklo dekho kya haal hai duniya ka ye kya aalam hai suni aankhen hain sabhi khushiyon se khali jaise aao in aankhon mein khushiyon ki chamak hum likh den ye jo mathe hain udasi ki lakiron ke tale aao in mathon pe qismat ki damak hum likh den chehron se gahri ye mayusi mita ke aao in pe ummid ki ek ujli kiran hum likh den dur tak jo hamein virane nazar aate hain aao viranon par ab ek chaman hum likh den lafz-dar-lafz samundar sa bahe mauj-ba-mauj bahr-e-naghmat mein har koh-e-sitam hal ho jae duniya duniya na rahe ek ghazal ho jae