chap qadmon ki suno raat ke tare na gino koi aaega ba-har-haal zarur aaega apni aankhon mein chhupae hue sapne kal ke le ke tabinda nigahon ka ghurur aaega yas-o-hirman ke andheron mein sitare bhar do dil ke khwabida darichon se kaho aankh malen baad-e-sarsar se kaho ja ke chale aur kahin khwab-e-farda ke dar-o-baam pe kuchh dip jalen le ke aakash pe aati hai kise kahkashan chand hai ya kisi kamsin ke khad-o-khal ka nur ya khuli zulf ko bikhrae hue raat ke waqt raqs-farma hai kisi jannat-e-shadab ki hur odh kar chadar-e-simab koi zohra-jamal jagmagate hue taron se utarti hai zarur ga ke dharti ki nigahon mein khumarin naghme de ke aawaz dabe panw guzarti hai zarur chap qadmon ki suno raat ke tare na gino koi aaega ba-har-haal zarur aaega