ab bazm-e-sukhan sohbat-e-lab-sokhtagan hai ab halqa-e-mai taefa-e-be-talaban hai ghar rahiye to virani-e-dil khane ko aawe rah chaliye to har gam pe ghaugha-e-sagan hai paiwand-e-rah-e-kucha-e-zar chashm-e-ghazalan pabos-e-hawas afsar-e-shamshad-qadan hai yan ahl-e-junun yak-ba-digar dast-o-gireban wan jaish-e-hawas tegh-ba-kaf darpa-e-jaan hai ab sahab-e-insaf hai khud talib-e-insaf mohr us ki hai mizan ba-dast-e-digran hai hum sahal-talab kaun se farhad the lekin ab shahr mein tere koi hum sa bhi kahan hai