ai tamasha-gah-e-alam roe tu mah-e-nau hum dekhte tujh ko kis arman se dekhte hi dekhte tahlil ho jaana tera dekhte hum phir bhi tujh ko dhund rahte usi sune ufuq mein ai hilal waqt ke dariya mein mahi-gir ne dala hai jal kis liye sahil ka patthar ban ke mahi-gir baithe hon yahan thah mein dube hue wo mehr-o-mah ban chuke honge ghubar-e-raegan ya tamasha sina-e-shamshir se bahar dam-e-shamshir ka maujon mein bahta dekhte rahte ho tum be-sabab aankhon se kab yun mae chhalakti hai nashat did ki kaun ho tum aur gagar apni le jati ho kis aangan ki aur wo suhana sa ujala jhumta sagar ke par gul-badaman ek aangan sham ke tare ka hai mera nahin wo ghana ban bhi purana aashram hai jhilmilati os ka mera nahin main to gunge khak-dan ki an-kahi ai ajnabi an-kahi se kahni sunni tak pahunchna sahal kab hai darmiyan hail milega ek khala-e-be-karan soch lo hai waqt ab bhi warna phir ai banu-e-masum-o-zirak ranjishen kitni khadi hain rah mein phir na sahil tha na wo sahil ka patthar jo nazar aaya wo ta-hadd-e-nazar phaila hua ek pur-ashob-o-pur-asrar bahr-e-na-paida kanar hum ne insan ka janm paya sitare ga rahe the kis amal ke ijra mein paya sitaro tum ne insan ka janm hum to insan ke janm mein bhi sitare hi rahe be-karan nilahaton mein ru jhamak uthti hai rah rah kar ana kahkashan-dar-kahkashan bikhre sawabit aur sayyaron ke beach fasle jazb-o-kashish ke un ki paimuda haden badhte badhte zari daim banatunnash ki ghatte ghatte warta dam-e-fana dhum ketu be-muhaari mein magan ek jhaala sa baras kar khul gaya chingariyon ka kitni tahziben shahabi timtima kar bujh gain nagriyan babul si mahwash shahpar-e-afrashtagan uljhe hue jin ki surili tan hain un ki gharqabi kahani hai purani bhi nai bhi un ki apni aatma ki thah se umde hue tufan hain apni fitrat ke tajalli-zar se tut kar girte kawakib ja samate hain khuda jaane kahan ja-ba-ja azdarahan kale dahane jin ka munh sab kuchh nigal kar phir khula der kitni ho chuki tab kahin ja kar wo ek din ye samajh pae ki sannata khud apne dil ke andar ka tha bahar ka na tha rustgar az-panja-e-bedardi-e-lail-o-nahaar band aankhon ke nagar mein kaif-e-alamgir ka arman mila jis se wawaila nashebon ka na takraya kabhi wo auj-e-baam sarsari us se guzar jaane mein pinhan aafiyat ai rah-naward ai nazar-war ai dil-asa rauzan-e-zulmat hast-o-bud ai paik-e-jahan-paima khizar kil si dahliz mein paiwast ye kaisi chamak hai dhul ajram-e-falak ki gutthiyan mauhum si rishton ki ye kaisi hain suljhana nahin zinhaar warna hu ka aalam hai namudan ki sulajh jaane ke baad sabza-e-naurasta ke parde mein sare unch nich patte rahne ke ai aanand bahte paniyon ki aatma kis ke hain ye ustukhwan malbe mein dhalte ustukhwan khak-e-uftada ki agli aur pichhli har parat ke be-zaban tamir-e-kar mehrban sa ek tabassum aur shaista ishaara ghar ki jaanib jaise ghar ke baam-o-dar par ho nawishta har sawal-e-na-shakeba ka jawab phir udhar dekha to sab kuchh dasht-e-ikhfa main tha adim ghaar kutiyaen machanen ghar gharaunde sare aasar-o-mazahir gunj mein apni samo kar le udi bang chil wo safar be-sang-e-mil ek adhure aasmani khwab ka un ki aankhon mein khumar zeb-tan gard-o-ghubar jaise mitti mein sani dhadkanen dharti ki nar-nari ki tajsimon mein aalam-e-ashkar aur phir uftad par uftad dur uftadgi shahrahen na-tarashida sabhi khushki teri ki aur kaghaz bhi pata ka gum-shuda be-khabar nikle hawa-e-dasht ke jhonke sabhi aur sahal-angar tair bhi na de pae suragh hai kahan arfat wo ek wadi-e-dur-daraaz rah mein aankhen bichhae phul nargis ke mile rah mein mahke gulab aur rah mein lale khile did ki lekin unhen raftar fursat bhi to de munkashif karti hui be-nam jal-pariyon ko gahre paniyon mein ek lamhati tarang be-nishan ban-basiyon par tahniyon mein aas ke maman kisi bhule bhatke zamzama ki rah takte dwar khole jagte hain raat kali barshgali jugnuon ki na-gahan yalghaar phir gahra andhera aur jibillat ki athah shaktiyon ka ban mein dera man mein dera sahilon ki ret mein saunpe hue ek wadiat ki tarah hashraat-e-ab khol apne todte hain aur be-rahbari hi aahista-khiram apne man ki chandni mein rengne lagte hain shor-e-ab bhi kahte hain wo ek samt hai ek samt hai sehr-e-kashish bhi sab dishaen na-gahan ek sath bharti hain hunkara bhulne lagte hain jab masum zaer jal disha kitne khun-alud panje kitne khanjar ghat mein hain phir bhi jari yatra wo hazar be-barg-o-saman ghar khas-o-khashak ki rachna adhuri jis mein fitrat jhankti rahti ki dekhe apne aain to ufuq ka jamal bazm-ara aaina-dar-aina zard phulon par thirakti titliyon ka pairahan pila sunahra ghas par lahrae tiddon ki hari dhani qaba rangrezi dahr ke is daur ki guzra hai jo rafta-ziyaad jab na tha insan ka mazkura ashiya mein shumar is taraf pahle kabhi dekha na tha ab jo dekha hai to jaise phir sira aaghaz ka hath aa raha hai ye wahi anjam hai dhadka tha jis ka hast-o-bud insan ki jab dahr mein thi beshanakht rahin-khana khanaman-barbaad ai bang-e-rahil tu ne dekha hai kabhi shaffaf uthle paniyon ki tah mein munge ke jaziron ka dayar wo samay ki niw thi garm-o-gudaz muddaton tamir ki diwar apni sada dil aangan ne jis par ye tabassum bhi kise milta hai jis ke soz se madan zar-e-gul ka pighalta hi raha sanchon mein dhalta hi raha naslon ka faulad-e-garan khanaman-barbaad ai bang-e-rahil zanan-e-misr ek ibrani payambar-zada ko hum ne jis ghar ka bharam rakhne ki khatir dakhil-e-zindan kiya tha kaise aakhir us ko bait-e-ankabut man len hum be-dalil wo haqiqat ki silon par qaem ek tamir kaisi thi wo saqf-o-baam kaise the tujhe malum kya mahfilen aarasta pairasta jin ka tahammul sehr-kar khushbuon ke tane-bane bunne wale mujmiron ki dhwaniyon se aaj bhi mahke mahke hain tamaddun ke dayar aaj bhi aasar dete hain gawahi naqsh-kari kaisi anmit thi wo qismat ki lakiron se judi hum ne ibrani payambar-zadon se patthar tarashwae ki baad-az-marg bhi paya-e-ahram mein pinhan rahe ghar ki asas lal-o-gauhar khazane shahd-o-gandum se zuruf uble hue takht-o-taj-o-mohr-e-shahi ke nigahban harba-ha-e-ahan-o-faulad aur daste ghulaman-e-jawan ke kahinon ki phunk hamanon ki tadbir-e-siyasat mein zahr-e-halahil pasbani mein magan so rahe hain an-ginat firaun ai baad-e-saba aahista chal bang-e-rahil shewan tauq-o-salasil kakh-o-aiwan se nikal kar ku-ba-ku yam-ba-yam dariya-ba-dariya ju-ba-ju wo bisat-e-raqs darbaron se ho kar phailti daftar-ba-daftar anjuman-dar-anjuman ghar ghar bichhi patti patti mein utar aai thi kadwahat jaden thin nim ki ai rahin-khana kya tujh ko sunai di kabhi is dua ki gunj jis ko sun ke wo taswir-e-ab nil shahi qasr ki dubi dubi sidhiyon se dur thathen marta dariya-e-na-paida kanar