abhi sardi poron ki pahchan ke mausam mein hai is se pahle ki barf mere darwaze ke aage diwar ban jae tum qahwe ki pyali se uthti mahakti bhap ki tarah meri pahchan kar lo main abhi tak sabz hun munh-band ilaichi ki tarah main ne aaj tumhaari yaad ke kabutar ko apne zehn ke kabuk se aazad kiya to mujhe andar ki patawar dikhai di chand pura hone se pahle tum ne mujhe chhua aur baat puri hone se pahle tum ne baat khatm kar di jaankari ke bhi kitne dukh hote hain bin kahe hi talkh baat samajh mein aa jati hai achchhi baat ko dohrane ki sai aur buri baat ko bhulane ki jidd-o-johd mein zindagi bit jati hai barf ki diwar mein ab ke main bhi chunwa di jaungi ki mujhe aag se khelta dekh kar danish-mandon ne yahi faisla kiya hai main tumhaare pas leti hui bhi phuljadi ki tarah sulagti rahti hun main tum se dur hun tab bhi tum meri lapton se sulagte aur jhulaste rahte ho samundar sirf chand ka kaha manta hai sar-e-sham jab suraj aur meri aankhen surkh hon to main chand ke bulawe pe samundar ka kharosh dekhne chali jati hun aur mere pairon ke niche se ret nikal kar mujhe be-zamin kar deti hai pair be-zamin aur sar be-asman phansi par latke shakhs ki tarah ho ke bhi yahi samajhti ho ki munh-band ilaichi ki tarah abhi tak sabz ho