ek subh

sanwar rahe the hawa ke latif jhonke
ubhar rahe the gulon se bahaar ke naqshe

nikhar rahe the basarat-nawaz nazzare
bikhar rahe the samaat pe kaif-za naghme

sudhar rahe the bigad kar hayat ke lamhe
sanak rahi thi masarrat mein dub kar purwa

chatak raha tha ba-andaz-e-khas har ghuncha
mahak rahi thi magar chandni bhari duniya

lahak raha tha surur-o-nashat mein sabza
jhalak raha tha hawaon mein rang maujon ka

guzar rahi thi ru-pahli trawaton se nazar
biphar rahi thin ghinai hararaten aksar

thithur raha tha shahabi tabassumon ka asar
utar raha tha fizai jumud aalam par

thahar raha tha jamali haqiqaton ka jigar
badal rahi thi faza-e-khamosh nauiyyat

ubal raha tha ba-har-gam chashma-e-farhat
machal rahi thi dilon mein khulus ki nuzhat

nikal rahi thi had-e-lutf-e-naum se fitrat
bahal rahi thi suhane samon se mahwiyyat

basa chuki thi dimaghon ko raat ki rani
uda rahe the dhundalke alap koyal ki

luta raha tha tajalli sitara-e-sahari
'sahar' ne ba'd ada-e-niyaz-e-mabudi

'alalkhusus ba-sad ijz ye dua mangi
sukun rahe ki zamane ko inqalab rahe

har ek sai mein 'najma' tu kaamyab rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close