gharib naujawan

sarmaya-dar duniya
hangama-bar duniya

ba-ikhtiyar duniya
nafrat-shiar duniya

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

har-dam sanwarne walo
phulon pe marne walo

kanton se darne walo
bach kar guzarne walo

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

aish-o-tarab ke bando
jam-o-subu ko pujo

raaton ko din banao
kyon mera haal puchho

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

sab muskura rahe hain
charke laga rahe hain

taskin pa rahe hain
kis ko bana rahe hain

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

hosh-o-khirad se haara
diwangi ko pyara

nakaamiyon ka mara
be-as be-sahaara

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

tufan mein bahne wala
har jabr sahne wala

kuchh bhi na kahne wala
khuddar rahne wala

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

har dil ki gham-gusari
har gham pe ashk-bari

ehsas ka bhikari
ehsas ka pujari

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

meri jawan umiden
khwab-e-jinan umiden

hon kaamran umiden
aisi kahan umiden

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

ye chandni ye tare
ye scene ye nazare

al-qissa aish sare
mujh se rahen kinare

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

ye khush-gawar subhen
ye kaif-bar maujen

ye pi kahan ki japen
saz-e-tarab na chheden

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

ye kaun ga raha hai
aalam pe chha raha hai

be-khud bana raha hai
kuchh yaad aa raha hai

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main

har tan dil-nashin hai
masum hai hasin hai

sad kausar aafrin hai
mere liye nahin hai

ek bad-nasib hun main
yani gharib hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close