aane wale din ke aakhir par suraj tuti hui dhaal ki tarah ufuq par chaspan ek hunut kiya hua sar kisi surma ka jo waqt se haar gaya! bagule aisi hawa aur ek ranga hua ghoda lahu-luhan dil hamesha ghad leta hai ek duniya apne liye mohabbat kahin ziyaada saffak hai nafrat se kyun-ki ye achhuti aur ujli hai us sitare ki tarah jo kanda hai ek muqaddas qurban-gah ki chhat par zindagi! hasht! han magar maut ek pul hai shikasta aur charcharaata abdiyat ke bojh-tale kahan hai tumhaara rath jo tarikh se ziyaada tez chalta hai aur kahan hai tumhaara jhanda jis ka saya zamin par nahin padta