zamana chahta hai har-ghadi bas nit-nai baaten nae din aur nai shamen nai subhen nai raaten nai qasmen nae wade nae rishte nae nate purane jo bhi qisse the wo ab us ko nahin bhate main khud lafzon ki misron ki baham takrar se jaanan bahut ukta gai thi ab to main ne yun kiya lafzon ko misron ko lapeta surkh kaghaz mein phir un ko man mein raqsan aag dikhla di hawa mein rakh ke udte hue zarron ne jab puchha karegi kya sunegi kya kahegi kya tera daman to khali hai kaha main ne mujhe ab kuchh nahin karna mujhe ab kuchh nahin sunna mujhe ab kuchh nahin kahna kahani odh li main ne