ye aaine ka safar-nama nahin kisi aur rang ki kashti ki kahani hai jis ke ek hazar panw the ye kuen ka thanda pani nahin kisi aur jagah ke jangali chashme ka bayan hai jis mein ek hazar mashalchi ek dusre ko dhund rahe honge ye juton ki ek narm jodi ka moamla nahin jis ke talwon mein ek jaanwar ke narm aur upri hisse mein us ki mada ki khaal ham-juft ho rahi hai ye ek int ka qissa nahin aag pani aur mitti ka faisla hai ye ek talwar ki dastan hai jis ka dasta ek aadmi ka wafadar tha aur dhad ek hazar aadamiyon ke badan mein utar jata tha ye bistar par dhuli dhulai ediyan ragadne ka tazkira nahin ek qatl-e-am ka halfiya hai jis mein ek aadmi ki ek hazar bar jaan-bakhshi ki gai