dil mein ek madum zamane ke aur ek duniya ke hone ki ummid liye aankhon mein patjhad thame sakit sard hawa par udti titli ruk ja tham ja mujhe ye dar lagta hai ek din yahi sakit sard hawa jhakkad ban jaegi yahi talwe chumti mitti bagule ban kar tere taaqub mein niklegi tere narm paron ki dushman pagal titli tere khwab teri duniya hain lekin ek duniya tere khwabon se bahar bhi basti hai is duniya mein jina samjhauta hai lekin khwabon ko samjhaute ras nahin aate phir bhi tu ne isi hawa par udna hai in shakhon par phul bahut kam ugte hain lekin tujhe to inhi shakhon par baithna hai tham ja titli mere dil ki mitti mein ab phul nahin khilte lekin jab bhi phul khile tum pahle phul pe baithna mujh mein udna jab tak dil chahe tham ja titli