ek ThanDi os mein lipTi nazar ki raushni hai

ek thandi os mein lipti nazar ki raushni hai
aur labon par guzre waqton ki purani chashni hai
aur main hun
falsafa rachne ki dhun mein bistar par silwaten hain
adh-khuli aankhon mein khwabon ki dhadakti karwaten hain
aur main hun
khushbuon se tar hawa mein koi bojhal sham dhalti
rang sare ho gae bad-rang phir bhi sans chalti
aur main hun
tum nahin ho aur tumhaari yaad ke sae bhi ghaeb
bhulte jate hain chahat ke mohabbat ke sabhi dhab
ek an-suljhi paheli zindagi bhar ki tapasya
aur main hun sirf main hun
This is a great thandi mausam shayari. True lovers of tapasya shayari in hindi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore karwate shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close