ye ji chahta hai ki tum ek nannhi si ladki ho aur hum tumhein god mein le ke apni bitha len yunhi cikho chillao hans do yunhi hath uthao hawa mein hilao hila kar gira do kabhi aise jaise koi baat kahne lagi ho kabhi aise jaise na bolenge tum se kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipat kar karo aisi baaten hamein sarsaraati hawa yaad aae jo gunjaan pedon ki shakhon se takrae dil ko anokhi paheli bujhae magar wo paheli samajh mein na aae koi sard chashma ubalta hua aur machalta hua yaad aae jo ho dekhne mein tapakti hui chand bunden magar apni had se badhe to bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar ye ji chahta hai ki hum aise sagar ki lahron pe aisi hawa se bahaen wo kashti jo bahti nahin hai musafir ko lekin bahati chali jati hai aur palat kar nahin aati hai ek gahre sakun se milati chali jati hai ye ji chahta hai ki hum bhi yunhi chikhen chillaen hans den yunhi hath uthaen hawa mein hilaen hila kar gira den kabhi aise jaise koi baat kahne lage hain magar tum hamein god mein le ke apni bitha lo machalne lagen to sambhaalo kabhi muskuraate hue shor karte hue phir gale se lipat kar karen aisi baaten tumhein sarsaraati hawa yaad aae wahi sarsaraati hawa jis ke mithe fusun se dupatta phisal jata hai wahi sarsaraati hawa jo har anjaan aurat ke bikhre hue gesuon ko kisi soe jangal pe ganghor kali ghata ka naya bhes de kar jaga deti hai tumhein sarsaraati hawa yaad aae hamein sarsaraati hawa yaad aae ye ji chahta hai magar apni had se badhe to har ek shai bane ek naddi bane ek dariya bane ek sagar wo sagar jo bahte musafir ko aage bahata nahin hai jhakole diye jata hai bas jhakole diye jata hai aur phir ji hi ji mein musafir ye kahta hai apni kahani nai to nahin hai purani kahani mein kya lutf aae hamein aaj kis ne kaha tha purani kahani sunao