kaise kaise nam likhe the waqt ne mah-o-sal ke rukh par tufanon ne pala mara sare ho gae tittar-bittar saiqal kar ke rakhna chaha hum ne kuchh namon ko bacha kar umr ki maujen baha le gain sare lal aur sare jawahir tarz-e-khiram ke phul khile the aati jati rahguzar par aaj hai sirf ghubar ka parda kaisi manzil kaisa manzar dhajji dhajji bikhar rahi hai tani hui ehsas ki chadar kuchh harfon ki maddham si lau kanp rahi hai laraz laraz kar khushbu apni kho baitha hai sab sheron ka mushk aur ambar surat apni badal chuke hain ahd aqide masjid mimbar kaise khali hath khade hain shah wazir amir gadagar ujdi khwab-o-khayal ki duniya apne gharon mein sab hain be-ghar kyun-kar joden apne tukde haar gae hain sare rafugar khuni baadal gahre gahre chhate nahin hain baras baras kar aur zaminen aankhen munde mast hui hain lahu pi pi kar ek tilismi khel racha hai jaane kaun hai ye jadugar