gul-chandni

kal sham yaad aaya mujhe!
aise ki jaise khwab tha

kone mein aangan ke mere
gul-chandni ka pida tha

main sari sari dopahar
sae mein us ke khelti

phulon ko chhu kar bhagti
shakhon se mil kar jhulti

is ke tane mein bisiyon!
lohe ki kilen thin jadi

kilon ko mat chhuna kabhi
takid thi mujh ko yahi!

ye raaz mujh pe fash tha
is ped par aaseb tha!

ek mard-e-kaamil ne magar
aisa amal us par kiya

bahar wo aa sakta nahin!!
kilon mein us ko jad diya

han koi kilon ko agar
khinga upar ki taraf!

aaseb bhi chhut jaega
phulon ko bhi kha jaega

patton pe bhi mandlayega
phir dekhte hi dekhte

ye ghar ka ghar jal jaega
is sahn-e-jism-o-jaan mein bhi

gul chandni ka ped hai!
sab phul mere sath hain

patte mere hamraaz hain
is ped ka saya mujhe!

ab bhi bahut mahbub hai
is ke tane mein aaj tak

aaseb wo mahsur hai
ye sochti hun aaj bhi!

kilon ko gar chheda kabhi
aaseb bhi chhut jaega

patton se kiya lena use
phulon se kiya matlab use

bas ghar mera jal jaega
kya ghar mera jal jaega?


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close