tujh ko kho kar bacha hi kya tha zindagi mein khone ke liye bas ek udhaar si zindagi ji raha tha teri yaadon ka qarz liye muaf karna teri yaadon ko hum yun hi bula lete hain jis se ki ye sansen chal saken shayad tu bhul gai jo ek roz tu ne kaha tha ki jab zindagi viraniyon ke daur se guzarne lage to tu mujhe yaad kar lena muaf karna aaj phir tujhe itna hi yaad kiya itna hi tera nam liya jitna har pal har ghadi har-waqt main tujhe yaad kiya karta tha tujhe yaad hai na jab aasman mein koi tara tutta tha to jaldi se aankhen band karke dua mangti thi aur mujhe bhi aisa karne ko kahti thi par muaf zarur karna aaj main ne tutte tare ko dekh kar koi dua nahin mangi kyunki aaj main tanha tha wahi khula aasman wahi chamakte sitare aur wahi main tha par tum nahin thi