safha-e-dil se tera nam mitane mein mujhe der lagi puri ek umr ki der! ashk-e-gham qatra-e-khun aab-e-masarrat se mita kar dekha rang-e-duniya bhi mila rang-e-tamanna bhi laga kar dekha maktab-e-ishq mein jitne bhi sabaq yaad kiye yaad rahe arsa-e-zist mein khwabon ke kharabe the bahut in kharabon mein khayalon ke nagar jitne bhi aabaad kiye yaad rahe! gosha-e-ranj mein hangama-e-duniya se pare kaun ek hijr ke shishe mein utarta tha tere aks-e-dil-aram ke sath kis ki ummid ke raste pe koi daera-e-nur na tha kis ki mayus nigahon mein bikharte the tamanna ke ujale bhi andheron ki tarah roz-e-raushan mein bhi ho jati thi kis dil ke mazafat mein raat, tu ne jaana hi nahin aur teri khud-sakhta be-khabari ko qissa-e-dard sunane mein mujhe der lagi aansuon se mera aaina-e-gham dhundlaya ek sardaba-e-dauran mein jo poshida-o-nadida rahi thi ab tak is tan-e-zar ko wo zindagi hi bhul gai dil se lipti hui yak-rang udasi ke sabab rang-o-ramish mein basi zinda-dili bhul gai par teri shakl bhulane mein mujhe der lagi puri ek umr ki der umr jo lamha-e-jaan ke siwa kuchh bhi na thi umr jo teri tamanna ke siwa kuchh bhi na thi bas wahi umr batane mein mujhe der lagi!