fasl-e-bahaar aai hai holi ke rup mein sola-singhaar lai hai holi ke rup mein rahen pati hui hain abir-o-gulal se haq ki sawari aai hai holi ke rup mein pichkariyan liye hue dewi nashat ki har ghar mein aaj aai hai holi ke rup mein sindur hai ek hat mein ek hat mein gulal taqdir muskurai hai holi ke rup mein wo hum se mujtanib nahin holi ke nam par hum ne murad pai hai holi ke rup mein holi ne un ko aur bhi diwana kar diya diwanon ki ban aai hai holi ke rup mein rangon ki lahr lahr mein pichkariyan liye qaus-e-quzah khud aai hai holi ke rup mein dekho jise wo gharq hai rang-o-surur mein ek main nahin khudai hai holi ke rup mein 'saghar' nawed-e-dawat-e-ab-o-hawa liye baad-e-bahaar aai hai holi ke rup mein