tum ne jitne bhi badle the apne aap se aur phir apne jaison se ek ek kar ke pure dil se chuka bhi liye hain apne aap se guttham-guttha hone mein hi sab jangon ki lazzat hai lazzat, jis ka shayad kuchh bhi kharch nahin hai aur ye jang ki jis mein kuchh aisi nazmon ka mal-e-ghanimat mil jata hai jis par achchhi-khasi umr guzar jati hai lekin masnui dardon se kuchh nahin hota pyare dost khilqat teri napi-tuli baaton ke unche darwazon mein ramz bhari gambhir aur gahri aawazon mein ek nae aadam ke janm ki khatir teri nazmon aur aqidon ke bistar ke tawaf mein hai lekin tere sab jazbon ki shiddat ek biyah ke be-rang lihaf mein hai tu jo zard kitabon ke jaise par jaane kab se kaise kaise aasanon mein jhuti shahwat ke wade mein leta hai apne sheari hizyanon ke ilhamon mein haklata hai nae janam ke bashaarat ke is bawle ghash mein go nae khwabon ki ranon mein niglata hai