meri nigah ko ab bhi teri zarurat hai dil-e-tabah ko ab bhi teri zarurat hai kharosh-e-nala tadapta hai teri furqat mein sukut-e-ah ko ab bhi teri zarurat hai ye subh-o-sham teri justuju mein phirte hain ki mehr-o-mah ko ab bhi teri zarurat hai bahaar-e-zulf pareshan liye hai gulshan mein gul-o-giyah ko ab bhi teri zarurat hai zamana dhund raha hai koi naya tufan sukun-e-rah ko ab bhi teri zarurat hai wo walwale wo umangen wo justuju na rahi teri sipah ko ab bhi teri zarurat hai khirad khamosh junun be-kharosh hai ab tak dil-o-nigah ko ab bhi teri zarurat hai bayan ho gham ka fasana dil-e-tapan se kahan ye bar utthega meri jaan-e-na-tawan se kahan mila na phir kahin lutf-e-kalam tere baad hadis-e-shauq rahi na-tamam tere baad jo tere dast-e-hawadis shikan mein dekhi thi wo tegh phir na hui be-niyam tere baad bujhi bujhi si tabiat hai baada-khwaron ki udas udas hain mina-o-jam tere baad bana hai harf-e-shikayat sukut-e-lala-o-gul badal gaya hai chaman ka nizam tere baad ada-e-husn ka lutf-e-khiram be-mani surud-e-shauq ki lazzat haram tere baad taras gai hai samaat teri sadaon ko suna na phir kahin tera payam tere baad wo inqalab ki ru phir palat gai afsos buland baam hain phir zer-e-dam tere baad misal-e-najm-e-sahar jagmaga ke dub gaya hamein safina kinare laga ke dub gaya