main aksar dekhne jata tha us ko jis ki man marti aur apne dil mein kahta tha ye kaisa shakhs? hai ab bhi jiye jata hai aakhir kaun us ke ghar mein hai jis ke liye ye sakhtiyan sahta hai taklifen uthata hai thakan din ki samete shab ko ghar jaane pe kaun us ke liye dahliz par baitha dua ki mishalen dil mein jalae dida-e-be-khwab ki har rah darwaze ki darzon se nikalega khuda ki mehrbani ek haqiqat hi sahi kuchh qahr-aluda bhi hai jo us ki na-farmaiyon karte hain un ke waste us ne dahakti aag bhi tayyar rakkhi hai dil-e-kafir mein us ki mehrbani aur rahmat ka tasawwur bhi jab aaya mamta ke lafz ki surat mein aaya hai meri viran aankhon ne phir aisa waqt bhi dekha ki suraj jal raha tha raushni manzar se ghaeb thi khuda zinda tha lekin us ki rahmat sar se ghaeb thi unhi aankhon mein mere khairiyat se laut aane par na tha ashk-e-masarrat bhi ki meri rah takna jin ki binai ka masraf tha wo lab do chaar din pahle mere mathe pe ho kar sabt jo kahte the tum jao tumhaari naukri ki baat hai bete! main achchhi hun mujhe ab jaan ka khatra nahin hai aur agar kuchh ho gaya to hum tumhein fauran bula lenge chale jao (agar mar jaun main to sabr kar lena khuda-hafiz) magar ye baat 'qasir' in labon se kab suni main ne ise malum tha shayad ki maen mar nahin saktin dil-e-aulad mein ek yaad ban kar zinda rahti hain bulaya to gaya mujh ko magar wo lab? kahan wo lab? mere faqa-zada bachpan ko nindon se gureazan, pa ke jo pariyon ke afsane sunate the to main khwabon mein khud ko un ke dastar-khwanon par maujud pata tha sakat baqi nahin hai un labon mein aaj itni bhi ki meri khatir ek harf-e-dua ka bojh utha lete mujhe jo dekhne aate hain kahte hain main zinda hun main khata hun ki ye bhi zindagi ki ek zarurat hai magar har zaiqe mein ek talkhi ka izafa hai kisi diwar ka saya ho ya ho ped ki chhanw mera jism-e-barhana chhedti rahti hain kirnen ab hua wo hath ghaeb jo ki meri zat par hote hue har war ko badh badh ke khud par rok leta tha dua ko hath uthata hun duaen us ki khatir hain main goya hun ki meri sab sadaen us ki khatir hain mohabbat us ki khatir hai wafaen us ki khatir hain ki meri ibtidaen, intihaen us ki khatir hain