nuzul-e-itab ki ghadi nazdik hai…… darbari kutte! ru-posh baghiyon ki talash mein zaminen sunghte phir rahe hain sarbarahon ki quwwat-e-faisla jawab de chuki hai un ke mafluj hath darbariyon ke rachae shadyantaron par kyun dastakhat karne ki mashinen hain un ki zabanen sirf dhamkiyan bolti hain un ke ana-parast kan gidgidhaten sunne ke aadi ho chuke hain mushiron aur salah-karon ka dawa hai ki wo jald hi sarbarahon ko dast-khaton ki zahmat se bhi najat dilane ka rasta dhund nikalenge!