ekta

jo ekta ki lagan ho dil mein to be-qarari na pas aae
kisi ka jadu kisi ka tona hamare upar nahin chalega

agar hum apne ko khud samajh len agar hum apne ko aap parkhen
na koi aafat kahin uthegi na dil dukhega na ghar jalega

har ek bachcha hai ek bachcha na hai kisi ka kabhi adu wo
ye bhed bhaw ye fasla sab khud apna paida kiya hua hai

kisi ka mazhab nahin ye kahta ki tum na jine do dusron ko
khuda to sab ka hai ek lekin maqam-e-sajda juda juda hai

suna hai kal tak the wo padosi bada tha aapas mein bhai-chaara
wahi padosi to ab bhi hain wo magar hai aapas mein jang kaisi

mita do gar dil se bhed-bhaw to fasla phir koi na hoga
tumhein ye ehsas khud hi hoga ki hai dilon mein tarang kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close