phul khilenge gulshan mein dip jalenge aangan mein dil na kisi ka hum todenge ahd hai apna bachpan mein rakhenge man bap ki laj chamkenge ilm-o-fan mein baham mil ke rahenge hum khot na rakkhenge man mein duniya hum ko dekhegi ek nae pairahan mein phailenge khushbu ki tarah dharti ke is aangan mein dil mein jo rakhta hai lalach rahta hai wo uljhan mein hum bachche hain hum shahzade khelenge har aangan mein jo hai samajhta jhuta hum ko chehra dekhe darpan mein ilm ka jis ko shauq nahin hai khak hai is ke daman mein unchi unchi baat nahin hai unchi himmat hai man mein 'shaukat' ek din laenge bachche khushiyan jiwan mein