rukhsat ai hawa-e-yakh-basta phagun ki hawa gati aai par khol ke jagi angdai baghon mein aam ki shakhon par phir man lalchate baur lage bachpan ko shararat phir sujhi sardi se thithuri gathdi si kambakht khataen phir sankin koyal minqar mein kuk liye khushbu ki jasamat dhund rahi pagal-pan ki taswir hui phir man jangal mein mor ne raqs ko dawat di sukdi simti shiryanon mein phir maujen hiloren lene lagin phir lams-e-hawa ne dahkai mitti mein numu ki chingari lekin jaanan ye hariyali kyon ganw se shahar nahin aati man galiyare mein nahin gata ektare wala banjara