ye khwabon ke sae meri nind ki shant wadi mein kis tarah aae kisi aur duniya ke mauhum paikar kisi aur jangal ki shakhon ke sae pur-asrar jazbon ki barish mein bhige nahae gurezan kai saaton ko uthae mere pas aae magar main badhi jab bhi in dhundle khakon ko mutthi mein bharne wo ghaeb hue pech khate hue ek ghani dhund mein hath mere na aae magar jab kabhi hath aae to un be-sada paikaron ne nihan khana-e-arzu ke kai raaz mujh ko batae kai dagh mujh ko dikhae ye khwabon ki basti ki jis ki pur-asrar rahon mein gum raat bhar meri hasti koi us ki gahraiyon ko bhala kaise pae koi is ke sab raaz kaise batae