intikhab ka mausam aa kar guzar chuka netaon ke wade panditon ki aradhna jubba-o-dastar ke farman hum sab ne sune sabhon ne ek hi baat kahi hai achchhe din aane wale hain un dinon ki khwahish mein jaane kitne sal guzre hain jab kheton ki hariyali sahukaron se bach jae mazduron ka khun-pasina apna rang dikhlae punji-patiyon ke mahlon ke sath gharibon ki kutiya mein tarang aa jae bhuk aur be-rozgari zer-e-dam aa jae aadmi bhuk se mahfuz ho jae aurat ki azmat pamal na ho corruption ki lanat dur ho jae sab ko un ke hisse ke sukh mil jaen aaiye sab mil kar intizar karen ki wo achchhe din aa hi jaen ki intizar bhari aankhon mein khwabon ki basti ab sone hi wali hai