waqt

ye waqt kya hai
kidhar se aata hai kidhar ko jata hai

aur is waqt ke shikam se nikalte
din aur raat

aur in se phutte
ghante minute aur second

phir in se bante
hafte mahine sal aur sadiyan

ye banne tutne judne ka amal
kab se shurua hua hai

kab talak chalega
kaun hai jis ne inhen

is khidmat par mamur kar rakha hai
apni zaban se kuchh kahta na sunta hai

bas har-dam masruf-e-amal hai
us ne duniya ki takhliq ko dekha hai

phir is ke baad is ke ujadne ka tamashai hai
is ke daman mein hazaron raaten hazaron kahaniyan hain

husn-o-ishq ki
tahzibon ke banne bigadne ki

zamin ke tukdon ke sajne sanwarne ki
suno to sunte raho

uruj-o-zawal ki nasheb-o-faraaz ki
magar kya daur-e-jadid ke

chand aur sitaron par kamand dalne walon ne
apne kan band rakhe hain

ya itne masruf hain ki unhen sunne ki fursat bhi nahin hai
mana ki hum bhi kahani likh rahe hain

auron ke liye
magar wo kahani aisi ho

jise sunate hue
waqt ko koi sharmindagi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close