shab-e-nashat ke pyaron ko chhod aaya hun main kitne chand sitaron ko chhod aaya hun ye chandni pe ghataen ye nilgun dariya main aise kitne nazaron ko chhod aaya hun tasawwuraat ki duniya hasin thi jin se main un hasin dayaron ko chhod aaya hun koi batae mujhe ab jiyun to kaise jiyun main zindagi ke sahaaron ko chhod aaya hun hai apni pasti-e-himmat ka e'tiraf mujhe khizan ki zad pe bahaaron ko chhod aaya hun