kyon yaad aa rahe hain bhule hue fasane guzri hui bahaaren khoe hue zamane ya ek barg-e-gul ko aankhen taras rahi hain ya apne damanon mein phulon ke the khazane ya aaj khak-o-sarsar hain un ki wajah-e-zinat ya the yahi gulistan kal tak nigar-khane ya aaj khar-o-khas bhi hum ko nahin mayassar ya the kabhi gulon ke jhurmut mein aashiyane ab tak wahi sadaen kanon mein aa rahi hain wo chahchahe wo naghme wo rag wo tarane hai yaad ham-safiro tum ko wo ahd apna bajte the jab khushi ke har waqt shadyane jab thin masarraton ki lahren har ek dil mein har waqt dhundhte the tafrih ke bahane husn-o-shabab ke wo pur-kaif ahd-e-zarrin wo ishq-o-ashiqi ke dilchasp kar-khane wo jashn-e-aish-o-rahat wo saz-e-lutf-o-ishrat aankhon mein phir rahe hain ab tak wahi zamane nadan samajh ke hum ko sayyaad ne chaman mein dam-e-hawas bichha kar dale wo chand dane jin ke liye hum ab tak pachhta rahe hain hamdam kunj-e-qafas ke andar kha kha ke taziyane