baad-o-baran se ulajhta khanda-zan girdab par ek jazira tairta jata hai sath-e-ab par gum kai sadiyon ka us mein jazba-e-tahqiq hai ye jazira aadmi ke zehn ki takhliq hai ja raha hai har ghadi maujon se takraata hua apne hi andaz mein apna rajaz gata hua bahr ki amwaj par bahte hue shahr-e-jamil har qadam tera liye hai teri azmat ki dalil aandhiyon ka zor, maujon ki rawani tujh mein hai irtiqa-e-zehn-e-insan ki kahani tujh mein hai har bhanwar mein aur har tufan mein sahil hai tu sina-e-imroz-o-farda ka dhadakta dil hai tu to tajalli hi tajalli hai andheri raat mein raushni ka hai manara aalam-e-zulmat mein raat aai jag utha insan ka zauq-e-be-bisat aakhiri is ka thikana mard o zan ka ikhtilat kis qadar arzan hue tahzib ke lamat-e-nur allah allah chaar jaanib raushni ka ye wafur is tarah se main ne kab dekhi thi mai-khane mein dhum auraton mardon ka ladkon ladkiyon ka ye hujum sab nashe mein mast hain lekin hain kitne ba-khabar phir rahe hain sab ke sab ek dusre ko tham kar ahmarin saghar, lab-e-lalin, nigahen mai-farosh har taraf hai ek masti, har taraf hai ek kharosh is jagah idrak se begana koi bhi nahin sab hain farzane yahan diwana koi bhi nahin aql ki is bazm mein diwangi ka kaam kya dhundhta hai tu yahan aa kar dil-e-nakaam kya itni aagahi kisi ko ho ye mohlat hi nahin kis ki bahen kis ki gardan mein hamail ho gain aa ke aaghosh-e-hawas mein khud yahan girta hai husn kis qadar kachche sahaare dhundhta phirta hai husn jis se khira teri aankhen hain chamak europe ki hai dekh ai 'azad'! ye pahli jhalak europe ki hai
Please share if you liked this!!!