aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu tu ne wo zulf wo mukhda wo dahan dekha hai un ke har haal ka be-sakhta-pan dekha hai wo na khud dekh saken jis ko nazar bhar ke kabhi tu ne ji bhar ke wo har khatt-e-badan dekha hai un ki tanhai ka dildar hai dam-saz hai tu aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu kya wo shaer ki tarah khud ko kabhi dekhte hain tiktiki bandh ke kya apni chhabi dekhte hain shokh masum jawan mast sajal be-parwa kya wo khud apne ye andaz sabhi dekhte hain itna gum-sum hai ki khud apna hi andaz hai tu aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu kabhi ghabrae hue bhi to wo aate honge dil ki dhadkan ko jo rukhsar pe pate honge kanpta jism sambhaale na sambhalta hoga apni aankhon se bhi khud aankh churaate honge zabt-e-na-kaam ka ghabraya hua naz hai tu aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu makhmalin zulf banane wo jab aaenge na pahle us chand se mukhde ki balaen lena phir zaban tujh ko jo mil jae sargoshi mein husn ko aur nikharne ki duaen dena khalwat-e-husn mein ek ishq ki aawaz hai tu aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai to