dil-azari bhi ek fan hai aur kuchh log to sari zindagi isi ki roti khate hain chahe un ka burj koi ho aqrab hi lagte hain tisre darje ke pile akhbaron par ye apni yarqani sochon se aur bhi zardi malte rahte hain mala bari cabin hon ya panch sitara hotel kahin bhi qai karne se baz nahin aate upar se is amal ko fiqre-bazi kahte hain jis ka pahla nishana umuman bill ko ada karne wala sathi hota hai! apne apne kunwen ko bahr-e-azam kahne aur samajhne wale ye nanhe meindak har hathi ko dekh ke phulne lage hain aur jab phatne wale hon to hathi ki aankhon par phabti kasne lage hain kawwe bhi ande khane ke shauq ko apne fakhta ke ghar ja kar pura karte hain lekin ye wo sanp hain jo ki apne bachche khud hi chat kar jate hain kabhi kabhi main sochti hun ki sanpon ki ye khaslat malik-e-jinn-o-ins ki, insanon ke haq mein kaisi be-payan rahmat hai!