meri baaten jaise dhup ho sarma ki dalanon mein barfen teri khamoshi ki jin ke niche hath hamare mazbuti se jude hue hain sari bastiyan mere tere qayam ko tarsen hum mehman banen to un ki budhi gaen khushk thanon se dudh utaren un ke bachche apne bap ka kahna manen un ke parinde chhaton pe baith ke par phailaen hum donon ko badi-budhiyan chhodne aaen darwazon tak meri baaten jaise sach ho dare hue bachchon ka teri khamoshi hai jaise dulhan maiyon baithe sare raste meri teri chap ko tarsen hum aaen to raste nasheb se uth kar hum donon ko dekhen dur dur tak hath hilaen khushiyan chait ke mausam jaisi aur jo qasmen hum ne khain aashiq shahzadon ke maqbaron jaisi un mein sachchai hai jaanan barish thaki hui hai us ko apne baalon aur masamon mein so jaane do main dhup ka ek mashrub tumhaare waste sarma ke suraj se mangta hun