face book

login karte karte
pahli jo taswir ubhri

lash thi wo
lash ka chehra khula hua tha

niche laik likha hua tha
cursor us par kanp raha tha

us ke niche
salgirah ka cake saja tha

ghubbaron aur tohfon se
sara kamra bhara hua tha

yahan bhi laik likha hua tha
main hairat se dekh rahi thi

soch rahi thi
na-jaane is nai lughat mein

laik ka matlab kya hoga
hum ne to is lafz ke pichhe

khun thuka ban-bas liya
hum jaise diwane

lafzon ki tauqir pe marne wale
mushkil hi se samjhauta kar pate hain

hum jaise diwanon ki
alfaz hansi udate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close