gulab aur kapas

khet mein kaam karti hui ladkiyan
jeth ki champai dhup ne

jin ka suna badan surmai kar diya
jin ko raaton mein os aur pale ka bistar mile

din ko suraj saron par jale
ye hare lawn mein

sang-e-marmar ki benchon pe baithi hui
in muraton se kahin khubsurat kahin mukhtalif

jin ke jode mein juhi ki kaliyan sajen
jo gulab aur bele ki khushbu piyen

aur rangon ki hiddat se pagal phiren
khet mein dhup chunti hui ladkiyan bhi

nai umr ki sabz dahliz par hain
magar aaina tak nahin dekhtin

ye gulab aur daisy ki hiddat se na-ashna
khushbuon ke jawan lams se be-khabar

phul chunti hain lekin pahanti nahin
un ke malbus mein

tez sarson ke phulon ki bas
un ki aankhon mein raushan kapas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close