farar

main
tumhaare

mere
us ke

sab ke dukh ko dukh samajhne ke liye
ye kaisa khali-pan nigalta ja raha hun

har taraf mere samundar hi samundar hai
sarabon ka

mujhe
shayad zarurat hai kisi be-chehragi ki

jo mujhe be-nam kar de
mere ehsasat ke aangan mein aisi sham kar de

sau diye jal jaen kuchh raushan na ho
aur main apna sarapa

is andhere mein kahin khamosh
gungi khwahishon ke nam kar ke

chhod jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close