mere kamre mein khidki ka parda hata kar darinda koi ghus raha hai kiwadon mein key-hole se aankh ifrit ki jhank kar dekhti hai qarin wentilator ke chamgadaden jhulti hain kitabon ke table se chimta hua sanp phan kadhta hai wahan hanger se latakta hai bichchhu lapakta hua chadh gaya carnas par koi kekda hai wo t w ke pichhe se hoti hai jo sarsarahat kisi cockroach ki nahin hai udhar lamp ki ot se ghurti chhipkali kar rahi hai ishaare masahri se lag kar karih aur bad-shakl makda khada hai lihaf aur bistar mein takiye ke niche sarakte hue kankhajuron ka dil nachta hai meri aankh mein rengti saaton se larazti hai diwar calendar bhayanak khamoshi mein par phadphadata hai kha kar hawaon ke thappad bade zor se chikhta hai nikal jao lekin mujhe ye pata hai ki kamre se bahar agar main nikal kar gaya to ye sach hai ki patthar ka ho jaunga