barf ki chadaren jis tarah bichhi hon har-su munjamid ho gai sari duniya dhund mein lipti hui zahr-alud hawa ab to kuchh bhi nahin kahne ko yahan yahi behtar hai ki khamosh raho subh tum uth ke na akhbar padho dida reza na karo media nashtar kare shahr mein ganw mein gali kuchon mein bhediyon aur darindon ki hui hai yalghaar tum magar kuchh na suno mund lo aankhen apni nind aae na agar nind ki goli kha lo