main ne mana ki bahut dard mein dubi hai hayat saz-e-hasti ka har ek tar shikasta hai abhi lab pe afsurda tabassum ke siwa kuchh bhi nahin phir bhi mahrumi-e-qismat ka gila kaun kare zist har gam pe mana ki sisakti hi rahi raat phailae hue zulf bikharti hi rahi zulmat-e-shab ne sikhaya mujhe jine ka chalan jab mai-e-dard hi pina hai to phir gham kaisa main ne mana ki bahut dard mein dubi hai hayat ye bhi taslim ki ab munis-o-gham-khwar nahin hai koi tirgi mera muqaddar hai muqaddar hi rahe