itne bade nizam mein sirf ek meri hi neki se kya hota hai main to is se ziyaada kar hi kya sakta hun mez par apni sari duniya kaghaz aur qalam aur tuti phuti nazmen sari chizen bade qarine se rakh di hain dil mein bhari hui hain itni achchhi achchhi baaten in baaton ka dhyan aata hai to ye sans badi hi besh-baha lagti hai mujh ko bhi to kaisi kaisi baaton se rahat milti hai mujh ko is rahat mein sadiq pa kar sare jhut meri tasdiq ko aa jate hain ek agar main sachcha hota meri is duniya mein jitne qarine saje hue hain un ki jagah be-tartibi se pade hue kuchh tukde hote mere jism ke tukde kale jhut ke is chalte aare ke niche itne bade nizam se meri ek neki takra sakti thi agar ek main hi sachcha hota