khamosh tha sahil lahren bhi tham chuki thin pani mein jhankte hue taron ki ek ladi thi chupke se bah rahi hawa mein sanson ki aawaz thi khoya to kuchh nahin tha phir bhi jaane kya talash thi tanhai mein aksar jo yaad aai hai ye wo baat hai hum ko to yaad aaj bhi pahli wo mulaqat hai ek shakhs jo tha ajnabi do qadam par aa kar ruk gaya us ne na kuchh kaha magar phir bhi bahut kuchh kah gaya ab na tha khamosh sahil na lahar khamosh thi tare sanwar chuke the hawa mein ajab si baat thi kitna hasin manzar tha wo har baat mein koi baat thi shayad yahi wo pal tha jis ki barson se talash thi lekin lekin jo tha wo tha kabhi yahi sach hai ki wo ab nahin shayad muqaddar mein hamare pahle si koi shab nahin aaj barson baad phir qadam wahin ko chal diye aankhon mein intizar aur sawalon ke bhanwar liye badla nahin kuchh aaj bhi wahi pahle sa andaz hai khamosh hai sahil lahren bhi tham chukin hain pani mein jhankte hue taron ki ek ladi hai chupke se bah rahi hawa mein siskiyon ki aawaz hai jise kho chuke hain hum hamein us ajnabi ki talash hai us ajnabi ki talash hai